Arq-e-Gulab Benefits In Urdu Rose water: Log apni jild ko khubsourat rakhnay ke liyaw arq e gulab ka istemal kartay hain arq e gulab apki jild ke liyaw bohat mafeed hai jild ki behmariyoon se door honay ke liyaw or jild ko khubsourat rakhnay ke liyaw ap arq e gulab ko is tarhen istemal karsaktay hain.
- Agar ap ke jisam ke kisi hisay paar jalan hai to arq e gulab apki jild ki jalan ko khatam karnay ke liyaw bohat mafeed hai.
- Arq e gulab ko jild cleansing ke liyaw bi istemal kiya jata hai yeh apki jild se tamam ko acha or khubsourat banata hai.
- Chehray paar zakham hon to arq e gulab ka istemal karain yeh bohat mafeed hai arq e gulab ko tamam zakham wagara paar laganay se zakham bi thick ho jatay hain daag b khatam ho jatay hain.
- Arq e gulab ka istemal oily skin ke liyaw bohat mafeed hai or is se ap ke chehray ki oil skin b control ho jati hai.
- Jild ko khubsourat rakhnay ke liyaw zaroori hai ke ap din main apnay chehray paar arq e gulab lagaya karain yeh tareekay apkay chehray ko khubsourat banata hai.
- Urtain foundation laganay se pehlay agar arq e gulab ke sath chehray ko saaf karlain or phir foundation laga lain to is se apki jild paar zabardast khubsourti ayegi or apka makeup din baar khubsourat rahayga.
- Suraj ki zayada roshni se jild ko mahfoos rakhnay ke liyaw ap arq e gulab ko apni jild par laga liya karain agar ap raat ko sonay se pehlay laga saktay hain to apki jild achi or khubsourat nazar ayegi or gulab ka arq apnay andar khushk karlay gi or is se ap zada arsay taak jawaan b rahain gay.
- Chehray se daag khatam karnay ke liyaw kheray ko achi tarhen mash karlain phir is main arq e gulab ki munasib makdaar dail dain or isko chehray par laga lain 15 se 20 min taak is ko laga rehnay dain phir thanday pani se chehray dokar saaf karlain.
Post a Comment