Geometry 2015 Jewelry Designs In Pakistan 2016: Talb e ilmi k zamaney main riazi ka mazmoon zayada tar khawateen ki talemi salahiton k liye imtihan bana rahta hai.khasusan geometry se to bht kam larkiyon ko dichaspi hoti hai balky talbat par hi kya mokuf, yeh mazmoon beshtar kamzoor talbaat k liye bhi ha�wa bna rehta hai.tbhi to kisi dil jaley shahir ney is mazmoon se ukta kar yeh shair kaha ky:

Khawateen ko maths ka mazmoon pasand ho ya na ho aur khawa fisah guras ka masla inhen kabhi samajh aya ho ya na aya ho�. Taham fashion wo mazmoon hai k jis par har khatoon ko qudarti dastaras hasil hoti hai lihaza jaded fashion trends ki samjh bhuj main koi ihen maat nai dey sakta.yehe waja hai k malbosat main rayij honey waley geometric prints k sath sath ab geometric design main dhakey zevaraat bhi inki pasandidgi hasil kar rahe hain..jewelary experts k mutabik jewelary ka yeh andaz naya nai khasa purana hai.aur sab se pehle is design k zevraat  france ke �art deco� style se mutasir ho kar 1920 main design kiye gaye.art deco france ka qadeem hunar shumar kia jata hai jisey sb se pehle fun e tamer main istamal kia gaya aur rafta rafta yeh art sajawat ki ashiya aur jewelwry main bhi rayij ho gaya.zewaraat ki designing  main is art k tehat  mukhtalif geometry ki ashkal main dhal kar inhen khubsurat motiyon aur nagino se yun arasta kia jata k in par nazar thehrni mushkil ho jati hai.in dino jewelary ka ye anokha aur dilkash andaz aik bar phir fashion main in hai.
Different Types and styles of geometric jewellery designs
Khas tor pey takoni ashkal main baney necklace aur bundey larkiyon main zayada maqbooliyat hasil kar rahe hain lekin is k sath sath chakoor aur daiyra numa,beyzuvi, mustateel aur hashat pehlu ashkal key zevraat k elawa makhroti design k jewelary bhi maqbooliyat hasil kar rai hai.
So, apke liye waseeh intikhab mojood hai jis main se chand aik design to apki pasand par zarur porey utren gy, jinhen ap apni jewelary box main shamil karna chahengi aur phir jab bhi inhen pehney gi to sab ki tawajh apki janib hogi��kyun k in zevraat ka tasur sab sey anokha aur munfarid hai! Yakeen na aye to humari muntakhib karda jagmagti  tasaveer par zara aik nazar dalen apko apna dil khud ba khud is artistic jewelary ki janib khinchta mehsus hoga.

Post a Comment

 
Top