ZINDAGI
Translation / Tarajama: Aik raat mausam bahar ka badal zaar zaar roya (aur us ne rote howe kaha ke ye zindagi (tou) musalsal rona dhona hai. Aik teez raftar bijli chamki aur (badal se) kehne lagi ke tou ne ghalat kaha hai (zindagi tou) aik lamhe bhar ki muskurahat hai. Main nahin janta ke bagh mein ye khabar kon lay gaya (kyoun keh) phool aur shabnam ke darmiyan bhi yehi batain ho rahi thien.

Tashreeh / Explanation: Allama iqbal ne apni is mukhtasir si nazam mein ye bata hai ke zindahi ke bare mein har shaks ka nuqta nazar dusron se mukhtalif hota hai aur zindagi ka safar jo jis andaz mein tay karta hai usi andaz mein us ki tafseer karta nazar aata hai. Is baat ko woh badal, bijli, phool aur shabnam ki tamseel se waziha karte howe kehte hain ke aik raat bahar ke mausam  ke badal ne zoor-o-shor se baraste howe kaha ke mere nazdeek tou zindagi isi tarah rone dhone ka naam hai jis tarah ke mein musalsalaur zaar zaar ro raha hon. Chunkeh badal se pani barasne aur ankhon se aansoo behne mein aik tarah ki mushabhat hai is liye Allama Iqbal ne badal ke barasne ko musalsal rona qarar diya hai. Is par teez raftar bijli ne chamak kar badal ke nuqta nazar se ikhtilaf karte howe kaha ke aay badal! tou ne zindagi ko samajhne mein ghalti khai hai. Zindagi aik lamha bhar ki hansi ka naam hai. Bijli chunkeh aik lamhe ke liye chamakti hai is liye Allama Iqbal ne us ki chamak ko aik lamha bhar ki hansi qarar diya hai. Goya badal ke nazdeek zindagi ka matlab musalsal rote yani baraste rehna hai tou bijli ke nazdeek zindagi ka mafhoom aik lamhe ke liye teezi se muskurana yani chamakna hai. Apni is tamseel ko agey barhate howe  Allama Iqbal kehte hain ke main nahin janta ke badal aur bijli ke darmiyan hone wali is guftugu ko bagh mein kon lay gaya kyoun keh mein ne dekha ke phool aur shabnam ke darmiyan bhi isi baat par behs takraar ho rahi hai. Phool apne thori dair ki liye khilne ki wajah se bijli ki manind zindagi ko lamhe bhar ki muskurahat samajhta hai aur shabnam apne raat bhar ke barasne ki wajah se zindagi ko musalsal rona dhona tasawar karti hai. Is tarah zindagi ke bare mein har shakhs ka nuqta nazar dusron se mukhtalif nazar aata hai. Koi lamha bhar ki hansi ko zindagi ka naam deta hai aur koi musalsal rone aur rote rehne ko zindagi qarar deta hai. Is tarah jis ki zindagi jis andaz se basar hoti hai usi andaz se woh zindagi ki tafseer karta nazar aata hai.

Post a Comment

 
Top