1: Tarjama: Aay insan uth ke paharon aur janglon mein mausam bahar ke badal ne khayma laga diya hai. Bulbul, Toti, Teetar, Meena jese khush awaz parinday (mausam bahar ki amad ki khush mein) mast ho kar geet ga rahe hain. Nadi ke kinaron par gulab aur lala ki khetiyan oogi hoi hain. (Aay insan) tou (in khubsurat manazir ko) dekhne wali aankh la. Uth ke paharon aur junglon mein mausam bahar ke badal ne khema laga diya hai.
2: Tarjama: (Aay insan) uth ke bagh aur pahar ke daman mein phoolon ka qafla aa pohancha hai. Mausan bahar ki hawa chalne lagi hai. Parinday naghma sarai karne lage hain, lala ke phool ne apna girayban chaak kar liya hai (aur is tarah woh puri tarah khil utha hai) husn ne naye naye phool chunnay shuru kar diye hain. Aur ishq ne naya ghum khareed liya hai. (Aay insan uth ke bagh aur pahar ke daman mein phoolon ka qafla aa pohancha hai.

3: (Aay insan dekh ke) bulbulain naghma sarai kar rahi hain aur fakhtayain shoor-o-ghogha mein masroof hain. (Chaman mein surkh rang ke phool is kasrat se khile howe hain ke youn lagta hai jese) chaman ka khoon josh mein aya howa hai. Aay khamosh baithay howe insan tou bhi ab aqal-o-danish ke dastoor ko toor de aur marfat ki sharab pee lay. Geet ga aur phoolon ka libas pehan lay kyoun keh bulbulain naghma sarai kar rahi hain aur fakhtayain shoor-o-ghogha mein masroof hain.
4: (Aay insan) tou band kothri mein tanha bethna chor de, sehra ke kisi konay mein ja kar qayaam kar (aur wahan ja kar) kisi nadi ke kinare par baith aur behte howe pani ka nazara kar ke kis tarah nargis ka naz-o-ada dikhane wala phool jo ke mausam bahar ke dil ka tukra hai (nadi ke behte howe pani ki) payshani ko boosa deta hai (aay insan) tou band kothri mein tanha bethna chor de aur sehra ke kisi konay mein qayam kar.
5: (Aay insan) tou (zara apni) haqeeqat ko dekhne wali aankh khol (kyoun ke) tou (apne) zahir (aur ird gird ke mahool) se bay khabar hai. (Dekh) ke lala ke phool kitni kasrat se khile howe hain. (Aisay lagta hai ke) unhon ne aag (jese surkh rang ki) sadriyan pehan rakhi hain (dekh ke) subah ke aansuon ki shabnam un ke dilon par tapak rahi hai (aur shabnam lalay ke surkh surkh phoolon par is tarah maloom hoti hai jese) shafaq (ki surkhi) mein sitare (chamak rahe) hon. (Aay insan) tou (zara apni) haqeeqat ko dekhne wali aankh khol (kyoun ke) tou (apne) zahir (aur ird gird ke mahool) se bay khabar hai.
6: (Aay insan)! bagh ki mitti ne kainaat ke dil ke raaz ko zahir kar diya hai (aur woh mausam bahar mein sabze aur phoolon ki surat mein uug aaya hai. 
Sifaat ka wajood aur adam wajood (donon) Allah Ta'ala ki zaat ke jalwe hain.  Jise tou zindagi samajhta hai aur jise tou moot kehta hai kisi ko bhi paidari hasil nahin. (Is tarah) bagh ki mitti ne kainaat ke dil ka raaz
zahir kar diya hai.

Post a Comment

 
Top