Tashreh: Iqbal ne apni nazam "Hikmat-o-Shair" ke is shair mein hikmat aur shair ka farq bayan kiya hai aur ye farq bayan karne ke liye unhon ne Bu Ali Sina ko hikmat. Maulana Jalaluddin Rumiko shair ki ilamat ke toor par paish kiya hai. Iqbal kehte hain ke Hakeem aur Shayar dono haqeeqat ki talash mein hain.

2: Tarjuma: Ye (Roomi samandar ki) mazeed gehrai mein gaya aur (us ne) moti hasil kar liya. Woh (Bu Ali Sina) tinkay ki tarah bhanwar (mein phans gaya aur us ne usi ko apni) manzil samajh liya.

Explanation: Is shair mein hikmat aur shair ka farq bayan kiya gaya hai. Hakeen aur Shayar dono haqeeqat ki talash mein hain. Haqeeqat ki talash mein dono ne samandar mein ghota lagaya. Shayar ishq ke jazbe se sarshar tha us ne samandar ki teh tak pohanch kar gohar maqsood hasil kar liya yani haqeeqat ko paa liya magar hakeem (falsafi) ishq ki bajaye aqal ko apna rehnuma banaye howe tha, chunachay woh shakook-o-shubhat ke bhanwar mein aik tinkay ki tarah phans kar reh gaya aur woh shakook-o-shubhat ke us bhanwar hi ko apni manzil bana baitha kyoun keh is bhanwar se nikalna aur agey jana us ke bas ki baat nahin thi. Is tarah us ki rasai haqeeqat tak nahin ho payi.
3: Tarjuma: Haqeeqat apne andar sooz na rakhti ho tou woh mehz hikmat hai jabkeh us mein dil ka sooz shamil ho jaye tou woh shair ban jati hai.

Post a Comment
Click to see the code!
To insert emoticon you must added at least one space before the code.