Phir deegar bar-e-sagheer ke alaqon ki tarah yahan par Angreezon ne qadam jamaney shuru kar diye. Is silsile mein British aur Russia mein rasa kashi shuru ho gyi. aur Afghanistan ki taqseem ka waqaya paish aya. 1893 mein Durand line nafiz hoi aur Afghanistan ka khuch hisa Bartanawi Hindustan mein shamil ho gya. Aur Pakhtun qabeelon mein bhi na ittefaqi ne sar uthaya aur woh 2 hison mein but gye. Lein phir bhi Angreezon ko Pushtun larai mein bure nataij aur nuqsan ka samna karna para. Phir Bartania ne "Taqseem Karo Aur Hukumar Karo" ka formula apnaya aur khuch had tak kath putli Pushtun hukmaranon ki madad se Bartaniya ko kamyabi hasil hoi.
9 november 1909 mein bil akhir Khyber Pakhtunkhwa Province bana aur us ka naam Sarhad Province rakha gya. soobay ka ikhtiyar nazim ala ko diya gya. Jo musheeron ki madad se nazaam chalata tha. Phir bazabta toor par 26 April 1902 ko is sooba ka iftitah hua aur soobay ke 5 izla mukhtis hue.
1947 mein Qayam-e-Pakistan ke waqt mutfiqa toor par sooba sarhad ko Pakistan ka hisa qarar diya gaya. Phir chand wajoohat ki bana par Afghanistan se is sooba ke tanazat ronuma ho gye. 1979 mein Soviet Union ke Afghanistan par hamlay se lakhon mahajreen Khyber Pakhtunkhwa hijrat kar aye aur phir ahista ahista ye mujahideen ka bara markaz ban gya. Agriculture is soobay ki economy ka aham bab hai. Is mein gandam (wheat), makai (corn), chawal (rice) aur ganna (Sugarcane) wagera kaseer tadad mein ugaye jate hain.
Tehzeeb o saqafat mein ye khita kayi 100 salon ki qadeem rawayat ka hamil hai. Jis mein Pashto Song, Chitrali Sitar ko khas ahmiyat hasil hai. Puray Pakistan ke tijarati log yahan ka rukh karte hain. Jis ki wajah ye hai ke yahan ke bazaar saray Pakistan mein famous hain. Jin mein Qissa Khawani Bazaar kafi mashoor hai. Yahan ki aab-o-hawa sar sabz paharon aur neeli wadiyon ki wajah se nahayat khoobsurat hai. Is ke ilawa ye KPK parhezgar aur purkhaloss aur mehman nawaz Muslims ke liye bohat shohrat ka hamil hai.
Post a Comment
Click to see the code!
To insert emoticon you must added at least one space before the code.