Deer Information In Urdu: Hiran (Deer) aisa akela hi janwar hai jis ke sar par shandar seengh hote hain, ye seengh hiran ki khopri se juray hote hain. Sakht hadiyon se bane ye tez nokelay seeng hiran ka aik khatarnak hathyar hain, female deer apne jathay ka sarbarah bannay ke liye dusre hirnon se larnay ya shikariyon se apne difa ke liye un seenghon ko istemal karta hai. Sard alaqon mein rehne wale Hiran ke seengh har mausam mein jhartay hain aur mausam bahar ke akhir mein un ke seengh dobara barhne lagte hain. Garam alaqon mein rehne wale hiran ke seengh saal ke dusre auqat mein jhartay hain. Naye ugney wale seengh naram o nazuk hote hain. Jo tezi se barhte hain.
Deer ke seengon par jild ka bareek teh hoti hai jis mein mojod khoon ki ragain un ki nashunuma mein madad karti hain. Bareek jild ki is teh par chotay chote rawan nama baal hote hain jin ke baes ye makhmal ki tarah dikhai deti hai isi liye isay Velvet kaha jata hai jese hi seengon ki afzaish mukamal hoti hai ye makhmali teh khushk ho jati hai aur hiran darakhton aur jhariyon se ragar kar usay utar detay hain.
more articles? kasturi deer benefits in urdu




Post a Comment

 
Top