Baitullah Sharif yani Masjid Al Haram dunya ki sub se bari masjid hai ye masjid jazeera numa Arab ke shehar Makkah main waqia hai. Is masjid ki tameeri tareekh Hazrat Ibrahim A.S se shuru hoti hai. Is masjid ke darmiyan mein Baitullah Sharif waqia hai jis ki taraf rukh kar ke dunya bhar ke Muslims din mein 5 baar Allah ke liye namaz ada kartay hain. Is masjid ka kul raqba 3 lakh 56000 muraba meter hai aur hajj ke doran yahan 8 lakh 20000 afrad namaz parhte hain.

777 mein is masjid ki tarikh ki sub se zayada tausi aur tameer hoi thi phir is ke gird 1576 mien Usmani Turkon ne safaid gumbadon wale baramday banaye thay jo aaj bhi mojood hain. Masjid Haram ke kul 112 chote bare darwaze hain jin mein sub se bara aur markazi darwaza Shah Abdul Aziz ke naam se mosoom hai jo Saudi Arab ka sub se bara Farman Rawa hai.
 
 Baitullah Sharif Picture
Shah Saud ke door mein bhi is masjid ki tazeen-o-araish yani decoration sajawat kaam shuru hua qadeem Turkey baramdon ke peechay wasi-o-areez 2 manzila imarat banai gayi. Is masjid mein deeni asaar bhi mojood hain jin mein Muqam Ibrahim woh pathar hai jis par Ibrahim A.S khare ho kar Baitullah Sharif kideewarain tameer karte thay isi tarah masjid mein Zam Zam Ka Well ya kunwaan bhi mojood hai jo Allah Ta'ala ne Hazrat Ismail A.S aur un ki walida Hazrat Hajra A.S ke liye paida kiya tha. Masjid se mulhq Safa aur Marwa ki wasi pahariyan jo Allah ki nishaniyon mein se hain aur doran-e-hajj in ka tawaf bhi kiya jata hai. Khana Kaaba ki khasusiyat mein aik aham khoobi ye bhi hai ke Allah ne isay aman ka gehwara banaya hai aur is mein aik namaz ki adaigi lakh namazon ke ajar ke barabar hai.

Ye dunya ka wahid muqam hai jis ka hajj kiya jata hai ye zameen par tameer hone wali qadeem masjid ka darja rakhti hai. Ibtida mein ye azeem masjid aaj ki masjid al Haram se kayi guna choti thi ab Saudi door mein masjid ko jadeed mayar ke ain mutabiq banaya gaya hai jis mein air conditioner aur electric stairs nisb ki gayi hain is ke ilawa masjid ki teen manzilain hain jahan har saal dunya bhar se Musalman hajj karne ke liye bhi ikathay hotay hain hajj mein taqreeban 8 lakh se zayada afrad sama sakte hain.

Baitullah ke ird gird sawab ki niyat se 7 chakar lagane aur phir Muqam Ibrahim par 2 rakat namaz ada karne ko tawaf kehte hain. Tawaf apne ahkam ke aitbar se namaz ki qisam ki ibadat hai. Donon mein farq sirf Baitullah ke gird chakar lagana hota hai aur is ke doraan baatcheet ki ja sakti hai jab ke namaz tamam masajid balkeh zameen ke har paak hisay par parhi ja sakti hai aur is mein baat cheet nahin kar sakti. Taham ye koshish honi chahiye ke tawaf ke doran jo batain kahi jayain woh achi hon. Tawaf ki bohat sari types hain jin mein aik tawaf qadoom bhi hai. Ahram baandh kar sub se pehle jo tawaf kiya jata hai usay tawaf qadoom kehte hain.
Allah ne mecca city ko aik muqadus aur hurmat wala elaqa qarar diya hai is liye yahan se na kanton ko hataya ja sakta hai na darakhton ko katne ki ijazat hai yahan kisi janwar ya parinday ko bhi preshan nahin kiya ja sakta aur na usay shikar kiya ja sakta hai yahan par nghair muslimon ke liye is mein dakhle ki ijazat nahin hai.

Post a Comment

 
Top