Quaid-e-Azam ne aap ki salahiton ka aitraf is tarah kiya. "Liaquat Ali mera dayan bazu hain. Unhon ne faraiz ki anjam dahi mein din raat aik kar diye hain woh agarcheh Nawabzadah hain lekin aam insanon ki tarah kaam karte hain". 1940 main Liaquat Ali markazi assembly ke rukan muntakhib howe. Qayam e Pakistan tak assembly ke member rahe. 1946 mein aarzi hukumat mein shamil howe tou Liaquat Ali ko aarzi hukumat mein wazarat-e-khazana ka qalamdan spurd kar diya gaya. Aap pehle Hindustani thay jinhon ne Angreezon ke door-e-hakumat mein Hinustan ka budget paish kiya. Taqseem Hind ke baad aap Pakistan ke pehle wazir e azam muqarar howe. Apni wazarat-e-uzma ke doraan aap ne aala qabliyat, sanjeedgi, matanat, taleemi salahiton ka sabot diya. Mahajreen ki abadkari aur dusre mumalik ke sath dostana taluqat mein aap ne mahirana siasi baseerat se kaam liya.
11 September 1948 ko Quaid-e-Azam ki wafat ke baad aap ne qaum ki behtareen rehnumai ki aur us naye mulk ki tameer mein har waqt masroof rahe. 1950 ke aghaz mein magribi Bangal aur mashiqi Bangal ke alaqon mein Hindu Muslim fasadaat ho gaye un fasadaat mein Musalmanon ko bohat nuqsan pohancha. Liaquat Ali Hindustan ke wazir-e-azam Pandit Nehru ki dawat par nayi dehli tashreef lay gaye aur 8 April 1950 ko dono mumalik mein aik muahdah howa jo Liaquat�Nehru Pact ke naam se mashoor howa. 16 october 1951 ko Rawalpindi mein aik jalsa aam se aap ne khatab karna tha abhi aap ne taqreer ka aghaz hi kiya tha ke aik shaqi al qalab ki goliyon se aap shaheed ho gaye. Aap ki maiyat ko Karachi la kar Quaid-e-Azam ke mazar ke pehlu mein dafan kiya gaya. Apni zindagi se hi Musalmanon mein Quaid-e-Millat ke laqab se mashoor howe. Shahadat ke baad shaheed-e-millat ke naam se pukare jane lagey.
Post a Comment
Click to see the code!
To insert emoticon you must added at least one space before the code.