Pakistan cricket board ne 100 million dollars ki investment se Pakistan super league PSL karanay ka elaan kiya hai. Pakistan ne PSL T-20 league ka baira utha kar mulk main international cricket ki bahali ki janib lambay safar ka pehla qadam uthaya. Event ke logo ke manzar aam par anay se umeed ho chuki hai ke PCB ki jadojehd rang lanay wali hai. Indian Premier League Ipl , Bangladesh aur Sri Lanka League ki tarz par is T-20 Tournament ko PCB mulk main international cricket ki wapsi ki taraf paish qadmi qarar de raha hai. PCB ka dawa hai ke super league main dunya ke saf-e-awwal ke cricketers hisa lain gey. International players ki taraf se acha response samne aya hai. PCB ke chairman ne thursday ko lahore main aik pur waqar taqreeb main Pakistan Super League karanay ka elaan kiya aur tournament ke logo ki runumai ki. 


Pakistan Super League 2013 Fixtures:

26 March se 7 April tak lahore main ho gi jis main ghair mulki cricket stars jagmagayain gey. 5 Teamain majmui toor par 23 match khailain gi, har team main 6 International 10 Pakistani aur 2 emerging players shamil hon gey. IPL ki tarz par ye taurnament baray paimanay par karanay ki koshish ho rahi hai. Shuru main 5 teamain hisa lain gi baad main unhain barha kar 3 saal main 8 kar diya jaye ga. 20-20 se Pakistan main na sirf cricket ko farogh diya jaye ga balkeh is se mulk main international cricket ki bahali main bhi madad milay gi. PSL ki iftitahi taqreeb 23 March ko ho gi. 

PSL Format:

Tournament double league system ke teht ho ga. hat team dusri team se 2 - 2 match khailay gi. Is tournament se Pakistani players ko baray khalariyon ke sath khailnay ka bhi moqa milay ga.

Post a Comment

 
Top