Hazrat Adam A.S behisht se zameen par tashreef laye tou Bargah-e-Elahi main arz kiya keh Khudaya main yahan na tou Malaika ki Tasbeeh aur takbeer sunn sakta hon aur na koi ibadat gah dekhta hon jesa keh asman main Bait al Ma'mur dekhta tha jis ke ird gird Malaika tawaaf kartay thay. Jawab Elahi aya keh jao jahan hum nishan batayain wahan Kaaba bana kar us ke ird gird tawaaf bhi kar lou aur us ki taraf namaz bhi ada karo. 

Complete History Of Khana Kaba:

Hazrat Jibraeel (A.S) un ki rehbari ke liye un ke sath chal paray aur unhain wahan laye jahan se zameen bani hoi thi jis jagah par jhaag paida howa tha aur phir wohi jhaag phail kar puri zameen bani. Hazrat Jibraeel (A.S) ne apna par maar kar saatwein zameen tak bunyad daal di jis ko Malaika ne paanch paharon ke pathron se bhara Koh-e-Lebnan, Koh-e-Toor, Koh-e-Joodi,  aur Hira aur Toor Zita. Bunyad bhar kar nishan ke liye charon taraf ki deewarain utha dien. Is taraf Hazrat Adam A.S namaz parhtay rahay aur is ka tawaaf bhi kartay rahay. Toofan-e-Nooh tak Kaba isi halat main raha. 

Hd Holy Khana Kaba Picture

Us waqt woh emarat tou asman par utha li gayi aur ye Khana Kaba ki jagah unchay teelay ki tarah reh gayi magar log phir bhi barkat ke liye yahan atay thay aur aa kar duain mangtay thay. Phir Hazrat Ibrahim A.S ke zamane tak Kaba isi halat main raha. Jub Hazrat Ismail A.S aur Hazrat Hajra R.A is maidaan main aa kar thehray aur un ki wajah se yahan khuch abadi ho gayi tab Hazrat Hajra R.A ke inteqal ke baad Hazrat Ibrahim A.S ko hukam howa keh Hazrat Ismail A.S ko sath lay kar yahan emarat Kaba banayain. Is ki nishani is tarah farmayi gayi keh aik badal ka tukra bheeja gaya takay us ke saye se Kaba ki had muqarar kar li jaye. 

Hazrat Jibraeel (A.S) ne us saya ki maqdar khat khaincha aur Ibrahim A.S ne us khat par zameen yahan tak khoodi keh bunyad Adam namudar ho gayi aur is bunyad par emarat banayi. Is ki bulandi 9 hath aur Rukn-e-Asood se Rukn-e-Shami tak deewar 33 hath aur Rukn-e-Shaami se Rukn-e-Gharbi tak ki deewar 22 hath aur Rukn-e-Gharbi se Rukn-e-Yamani  tak 31 hath Rukn-e-Yamani se phir Rukn-e-Asood tak 2o hath lihaza us waqt ye Kaba musteel ki shakal tha. Hazrat Ibrahim A.S ne Khana Kaba ke andar aik taghar sa banaya tha jo masal khazana ke tha keh Kaba ke liye jo khuch nazar tohfay main ayain is main rakhay jayain gey.

Is ke darwazay 2 thay 1 dakhil honay ka dusra nikalnay ka aur Kaba bananay wale khaleel thay aur un ko gaar aur pathar utha kar denay wale Ismail A.S aur is emarat main 3 paharon ke pathar lagaye gaye. Ibrahim A.S se pehle kisi ne yahan emarat na banayi thi magar Aap ke baad kayi dafa is ki tameer-o-muramat hoi aur is main halaat ki wajah se khuch tabdeeliyan bhi hoyein maslan is ki unchai dugni kar di gayi, darwaza 2 ki bajaye 1 aur is ka raqba bhi kam kar diya gaya lekin baad main phir usay puranay raqbay main hi tameer kiya gaya.

Live 24 hour broadcast of Masjid Al Haram Sharif
Agar Makkah city se ye live online stream ruk jaye tou is page ko dobara refresh karain (ctrl+f5)

Post a Comment

 
Top