Uranus Planet Information In Urdu: Is sayaray ka qatar 50800 km aur suraj se is ka fasla 287 crore km hai. Ye aankh se nazar nahin ata lekin door been se daika ja sakta hai. Is mein ye neela aur sabz rang ka dikhai deta hai, is ki mahinay mein gardish 10 hours aur 50 minutes mein mukamal hoti hai aur madar mein gardish 84 years mein mukamal hoti hai. Is ki fiza methane gas par mushtamil hoti hai.

Americal khalai jahaz ki faraham karda maloomat ke mutabiq is sayare ke 15 chand daryaft ho chuke hain zohal ki tarah is ke gird halqay hain jin ki chorai ka andaza 7000 km hai ye bhi zehra ki tarah mashriq se maghrib ki taraf ghoomta hai.

Post a Comment

 
Top