Sialkot History In Urdu: Shumal mashriqi Punjab ki Sialkot city, zila Sialkot ka sadar muqam bhi hai, ye wadi Kashmir ke daman aur darya-e-chenab ke kinare abad hai, ye nasli aur saqafati toor par Kashmir se kafi kareeb hai, aur Qayam-e-Pakistan se qabal ye riyasat Kashmir ka sarmai sadar muqam hua karta tha. Sialkot city ki population tou sirf 6 lack hai magar taza tareen takhmeenay ke mutabiq zila Sialkot 35 lack nafoos par mushtamil hai.
Sialkot, Lahore se 125 km shumal maghrib mein waqaya hai jabkeh Jammu se is ka distance chand km ka hai, wese tou ye Pakistan ka aik bara sanati markaz hai magar surgical instruments aur sports ke samaan banane ki sanat ki wajah se ye aalmi shohrat rakhta hai. Is ke ilawa yahan musical instruments, chamray ki masnuaat, clothes aur deegar ashya tayar karne ki sanat bhi mojood hai. Yahan ke basi apni tijarati maharat ke hawalay se mulk bhar mein mashoor hain, Sialkot mein aik international airport, aik dry port aur ala taleemi adaray bhi mojood hain. Jo is shehar ke ilawa qareeb wale shehron ki zarooratain bhi puri karte hain.
Zila Sialkot ka raqba 1164 muraba meel hai, zila 106 union councils par mushtamil hai zila ki zayada tar abadi 3 bare lasani garohon par mushtamil hai, yahan sardiyon mein shadeed sardi aur garmi mein sakht garmi parti hai. Qayam-e-Pakistan ke waqt ye mulk ka 6th bara shehar tha magar ab is ka number 12 hai, yahan khawandgi ki sharah kafi buland hai jo ke shehron mein 73 aur villages mein 54% hai.
Iqbal aur Faiz ka ye shehar un ke ilawa bhi kayi famous personalities ki jaye paidaesh hai. Sialkot Pakistan ka teezi se taraqi karta hua shehar hai jis ki sub se bari example ye hai ke is shehar ka airport hai jisay muqami karobari logon ne apne karobar ki taraqi ke liye tameer karwaya hai jis ki bunyad par ye shehar din dugni raat chugni taraqi kar raha hai aur mustaqbil qareeb mein ye shehar Pakistan ke bare shehron ki fehrist mein teezi se taraqi karta nazar aye ga jis tarah log Pakistan ke dusre bare shehron mein rehne tou tarjih dete hain isi tarah Sialkot bhi anay wale dinon mein dunya ke taraqi yafta shehron ki fehrist mein shamil ho sakta hai.
Sialkot ke mustaqbil ki aik bari wajah yahan ki nayi bannay wali roads bhi hain jo mukhtalif shehron ko apas mein milati hain isi wajah se yahan property rate intihai mehgey hote ja rahe hain aur mustaqbil qareeb mein is alaqa mein zameen ka husool aur bhi mushkil aur mehnga ho jaye ga.
Sialkot shehar Pakistan ka export ke lihaz se intihai ahmiyat ka hamil shehar hai jis ki misaal is shehar se export hone wale high quality ka bohat sara samaan, leather products aur dusri masnuaat hain jo puri dunya mein apna sani nahin rakhrien. Ala tareen mayar aur quality control aur aik aik product par un products ke banane walon ki kari nazar ne in Pakistani products ko puri dunya mein intihai ahmiyat ka hamil bana diya hai aur isi bina par Sialkot ki ye products mulk mein zar-e-mubadla wafar maqdar mein lanay mein apna aham kardar ada karti hain.

Post a Comment