Kabootar Bazi In Urdu Pigeon Information In Urdu: Kabootar bare kaam ka janwar hai. Ye abadiyon mein jungalon mein, gharz ye ke har jagah paya jata hai. Kabutar ki 2 types hain. 1: Blue Pigeon. 2: White Pigeon.
Neela Kabootar: is ki bari pehchan ye hai ke ye neelay rang ka hota hai aur safaid tou apne rang se hi pehchana jata hai. Kabutaron ne history mein bare bare karnamay anjam diye hain. Puranay zamane ke log love letters aur kitabat ke liye pigeon hi ka istemal karte thay. Is mein bari maslihatain thien. Waqt guzarnay ke sath sath kabutar ke zariye paigham bhijwanay ka silsila bilkul khatam ho gya aur in jagah jadeed zamanay ki jadeed technology ne lay li jin mein email wagera shamil hai.
Kabootar History In Urdu

Post a Comment

 
Top