Mother's Day Speech In Urdu Essay Mother's Day Maa jaisi hasti duniya main hai kahen woh mujhey taab se samajti thi jaab se main nay is duniya main ankh khuli thi jaab na mujhay lafz atay thay na apni bat samjana lakin woh meri hat zaroorat ko kuch kehnay se pehlay puri karti thi main nay duniya ko iski ankhoon se dekhna shuro kiya lakin na janay kaab is ki ankhoon se dekhtay dekhtay duniya mujhey bohat chooti lagnay lagi aisa lagnay laga jaisa iska duniya ko dekhnay ka nazara bara kadeem or tang nazri liyaw tha or main duniya ko hasil karna chahta tha or is ke rang ko mehsoos karnay ke liyaw betaab thi jaab mujhey chalna nahi ata tha to woh apna kaam meray liyaw chur kaar ati thi or jaab main chalnay ke kabil huwa to mera pass karnay ke liyaw is se zayada zaroori kam thay bohat se kaam jis main main is ki awaaz ko bhool jati thi or wakat fursat iski yadoon ki miss call ko dekhta main nay kabhi socha nahi ke woh meray liyaw kis kadar pareshan hogi meri hathoon ko kiss karti main nay kabhi iski ankhoon se nikalnay wahlay ansoo ko nahi dekha lakin jaab b kabhi meri ankhain ansoo se baar jati to meri maa akay inhay apnay dubatay se saaf karti buray wakat main or kamyabi taak ke safar main woh akehli thi jiskay hath meray liyaw dua main hotay  thay jisko mujhey kabhi kehna nahi parta tha maa meri dua karna woh hameshan meray liyaw dua karti rahti chahay main nay isay ketna rulaya ho ketna dard diya ho woh hameshan meray liyaw dua karti thi main jaab kabhi bi zindagi ki dhoop main nakaam hua to apni maa ke sath beth jata tha isnay mujhey gale lagaya han woh is duniya ki bohat zayada pyaar karnay wahli woh meray pass thi to mujhey is ka ahsas kabhi na hua or aj jaab main is se bohat door betha iski muhabat ko mahsoos karna chahta hon to iskay or meray darmiyaan zamanay or majburiyaan bangaye hain bohat door bethi kahin dua kar rahi hogi hum jaisi ulaad hoti hai jo maa ko bhool jatey hai maa ki izzat nahi karti har mushkil or har buri dua ko badal dahnay wahli dua is ke elawa kisi ki ho nahi sakti maa duniya ki saab dost se achi dost hoti hai hamari har khushi ghum main hamari fikar karti hai wakat anay paar ek maa father bhai bahen saab kuch banjatay hain lakin koi dusra is jaisa nahi bansakta humko har din yaad rehta hai apnay dostoon ki birthday party ka din ho ya phir woh hamari zindagi ka bohat acha din ho ya phir hamari zindagi ki koi zaroori event ho hum saab kuch yaad rakhtay hain valentines day  b lakin nahi yaad rehta to bass is ki muhabat hum sara saal busy rehtay hain or puray saal main 360 din ke 31104000 second main se hamaray pass kuch second nahi hotay jin m ain hum isay ek call kardain main yeh b janta hon ke yeh artical adhura hai shayed adhura rahayga kyun ke meray pass is ki muhabat ke liyaw koi lafz nahi hain ke isko duniya ki kisi b zuban main explain karsakon kyun ke isko explain karna meray liye na mumkin hai.


Post a Comment

 
Top