Homemade facial mask for glowing skin in urdu: Facial Tips In Urdu: Insani jild naram hoti hai is liyaw safaye ka khayal rakhna zaroori hai facial chehray ki khubsourti achi rakhnay main madad dehta hai facial se daag ka alaaj hojata hai facial ke andar tamam woh cheezain hoti hain jo chehray ki jild ko khubsourat banati hain.
Facial main istemal honay wali cheezain.
1 cleansing  2 message 3 creamy scrub 4 stream 5 mask 6 skin polish
  1. Cleansing: Cleansing ke  meaning hain saaf karna saab se pehlay  ap gharam pani ke sath chehra dholain is ke baad dono hathoon ki madad se chehray paar halka halka message karain cleansing karnay ke baad tissu papers ki madad se chehray ko saaf karlain market main har kisam ki jild ke liyaw cleansing lotion miltay hain chikni jild ke liyaw cleansing lotion khushk jild ke liyaw cleansing cream or normal jild ke liyaw cleansing bohat fayede mand hain.
  2. Massage: massage ka matlab hai malish karna jo ke hum apnay hathoon ki madad se chehray paar kartay hain massage hum double action ya triple action cream ke sath kartay hai
  3. Creamy Scrub: Creamy scrub ki madad se 4 se 5 min halke halke message karain or 5 min laga kar choor phir chehray ko saaf karlain.
  4. Skin Polish: skin polish main istemal honay wahli cheezain (1) 2 chamach booster, (2) ek chamach powder, 1stream facial ke waqt garam pani lain is main kuch katray lemon daal dain or chehray ko steam dain steam 4 se 5 min dahni chahiye, 2 mask chehray ke liyaw mask ka istemal bohat zarooi hota hai,
Mask bananay ka tareeka: (1) honey 2 chamchay, (2) multani mitti ek chamach 3 arq e gulab in tamam cheezin ko mix karlain or chehray par laga lain jab mask khushk hojaye phir chehray dholainFacial Karnay Ke Faide:
  • Facial karnay se blood sahi halaat main rehta hai.
  • Chehray ki falto charbi door hojati hai.
  • Insan apnay ap ko zayada khubsourat samaj nay lag jata hai.
  • Facial jild ki behmariyaan khatam karta hai.
  • Jild naram or khubsourat  ho jati hai.

Post a Comment

 
Top