Camel Information In Urdu Essay Camel tou aap sub hi ne dekha ho ga. Aur baaz ne tou oont ki sawari ka lutf bhi uthaya ho ga. Aap ne dekha ho ga ke camel ki kamar ka khuch hisa mota sa ubhra ubhra sa hota hai. Usay oont ka kohaan kehte hain. Is hisay mein camel apni ghaza ka zakheera rakhta hai. Isi ki wajah se woh kayi din tak woh bhuka pyasa reh kar safar kar sakta hai. Camel ko sehra ka jahaz bhi kaha jata hai kyoun ke oont senra ki garmi aur shadeed mausam mein khorak aur pani ki kami ke bawajod zinda rehta hai.

Camel jub kahin taweel safar par jata hai tou safar se kayi din pehle us ka wahid kaam khana peena hi hota hai, ye is qadar khata hai ke us ki peeth par kam o baish 45 kg charbi ka kohan yani Hump ubhar ata hai. Ye darasal charbi jama karne ki jagah hai jisay oont safar ke doran istemal karta hai. Is ke meday ki deewar ke sath chagal ya sarahi numa theliyan bani hoti hain jin mein pani zakheera hota hai isi ghazai ahtimam ke baes oont kayi kayi din tak sehraon mein safar karta rehta hai. Camel meat aur doodh batoor diet istemal hota hai. Safar ke liye aaj bhi dunya ke bohat se alaqon mein istemal kiya jata hai. Camels ki 2 types hain. Arabic Camel aur Bakhtari Camel.... Arbi oont ka aik kohaan hota hai Bakhri oont ke 2 kohaan hote hain. Oont dor, mashriq wusta ka maqbool kheel hai. 

Post a Comment

 
Top