Acne Ka ilaj Acne Home Treatment In Urdu Pimple: Tamatar sub se zayada istimal ki janay wali sabziyon mein se aik hai shayed hi koi dun aisa hota ho ke jub hamamre khanon mein tamatar shamil na ho kyoun ke ye lawazmat ka aik hisa hai lekin bohat si khawateen is baat se waqif nahin hon gi ke yehi tamatar aap ki jildi masayel hal karne ka zariya bhi ban sakta hai.

Yahan hum aap ke liye khuch tadabeer paish kar rahe hain jin par amal kar ke na sirf aap ka chehra shadabnazar aye ga balke ache ke nishan bhi saaf ho jayain gey. Chehre ke keel mahasay ke nishanat aur dagh dor karnay ke liye chawal ka aata aur makai ka aata ham wazan lay kar us mein tamatar ka juice shamil kar ke achi tarah mix karain aur chehre par lagayain. 20 min ke baad mask ko geeli ungliyon ki madad se ahista ahista ragar kar utar dain aur thande pani se face dho lain. Is mask ke baqaida istimal se ache ke dagh rafta rafta door ho jate hain lekin agar nishanat zayada gehre hon tou unhain 2 marhalon mein door karne ki tadbeer ki jati hai lihaza pehle tamatar ka slice kaat kar usay nishan zada jagah par ragrain aur 10 min ke liye chor dain, phir us ke uper aloo ka juice lagayain aur adhay ghantay baad dho lain. Raat sonay se pehle tamam nishanon par khopray ka tail zaroor lagayain. Jald hi aap farq mehsoos karain gi.

tags: Pimples Tips in Urdu For Man And Woman

Post a Comment

 
Top