Whooping Cough Home Cure: Kali Khansi jisay english mein Pertussis bhi kehte hain, aik se dusre ko lagne wala sangeen noeeyat ka phephron yani lungs infection hai jis ka sabab aik jarsuma Bordetella pertussis hota hai. Is qisam ki behaal kar dene wali khansi ko "Sau Dinon Wali Khansi" (100 day cough) bhi kehte hain jo taweel arsay tak mareez ko satati hai. Ye marz aik dusre tak  is tarah phailta hai ke jub mareez khansta, kheenkta ya baat karta hai tou us ke munh se kharij hone wale chote sayal qatray hawa mein tairtay hue sehat mand fard ke jism mein dakhil ho jate hain. Ye infection kisi bhi umar ke fard ko ho sakta hai lekin sub se zayada khatra un bachon ko hota hai jin ki umar 5 year se kam hoti hai.
Symptoms of Whooping Cough:
Jaraseem ke jism mein dakhil hone aur elamaton ke ubharne ka arsa Incubationperiod kehlata hai jo kali khansi ke hawalay taqreeban 7 din hota hai. Ibtidai elamatein nazla, zukam se milti julti hoti hain jin mein naak beh rahi hoti hai, halka bukhar hota hai aur raat ke waqt khushk khansi hoti hai. Rafta rafta khansi ki shidat barhti jati hai aur mareez lambi, gehri saans ke sath khansta hai. Khansi ke ye dooray amooman raat ko uthtay hain aur akhir mein mareez ko khanstay khanstay ulti ho jati hai. Kam umar bachon mein khansi ke doray amooman doodh pilane ke baad dekhe jate hain. In dooron mein bachay ka chehra surkh ya neela ho jata hai aur naak ya munh se garha mawad kharij hota hai. Khansi bohat shadeed ho tou us se nakseer bhi phoot sakti hai aur aankhon mein us tarah ki surkhi bhi numayan ho sakti hai jo Ashob-e-Chashm mein hoti hai. Us mein phephron ki choti hawai naliyan pheel kar bari ho jati hain. Sheer khawaron mein kali khansi us waqt mohlik surat ikhtyar kar laiti hai jub khanstay khanstay saans ruk jati hai. Is surat haal ko Apnoea kehte hain aur is mein achanak moot waqia ho jati hai.

Reasons And Factors Of Whooping Cough:

Mareez mein symptoms ko dekh kar kali khansi ki tashkhees karna bohat asaan hota hai. Mazeed tehqeeq ke liye halq ya naak se ratoobat ka namoona lay kar us mein makhsoos jaraseem ki mojoodgi dekhne ke liye laboratory mein us ki jaanch ki ja sakti hai. Agar aap khud apni khansi ko kali khansi par mehmool karain ya apne ache mein khilaf mamool khansi dekhain jis mein ulti bhi ho jati hai ya 2 - 4 days ke andar health mein behtari nahin aati tou fori doctor se ruju karain. Agar bache ki tabiyat bigarti hoi mehsoos ho ya khansi ke doran us ka jism neela par jaye ya deegar pareshan kun elamatain dekhain tou tibi mashware mein takheer na karain.

Health Recovery And Treatment Of Whooping Cough Ka ilaj:

Agar kali khansi bohat shadeed ho tou ghar par bohat zayada aram aur zayada maqdar mein pani aur mashroobat pila kar ilaj kiya ja sakta hai. Taham baaz suraton mein hospital mein ilaj ki zaroorat ho sakti hai. Kali khansi mein antibiotics medicines ka use qabil behas mamla hai. Bazahir un ke istimal se bimari ka doraniya kam nahin hota, taham antibiotic ke istimal se un logon ko faida ho sakta hai jin mein kali khansi ki elamatein abhi numayan nahin hoi hain. Is tarah dusron tak disease phelnay se rokna bhi mumkin hai. Kali khansi ka 2 se 3 months tak jari rehna koi khilaf mamool baat nahin hai. Jub se kali khansi ke hifazati injections lagne shuru hue hain is ke mareezon ki tadad mein khasi kami ayi thi, lekin England mein in dinon jis raftar se bachon mein is ki shikayatein samne arahi hain, woh khasi tashweesh naak hain. Kali khansi ke doron se bachne ke liye bachon ko amooman 2, 3 aur 4 months ki age mein injections lagaye jate hain.

Incoming search terms:
  • whooping cough meaning in urdu
  • cough treatment in urdu
  • cough home remedies in urdu
  • cough tips in urdu
  • cough totkay in urdu
  • cough treatment in pregnancy in urdu
  • cough treatment at home in urdu
  • cough symptoms in urdu
  • whooping cough in hindi

Post a Comment

 
Top