Dar-e-kafas se parey Jab saba guzarti hai
Kisey khabar ke aseeron pe kya guzarti hai
Ta'aloqaat kabi is Qadar na tootay they
Ke Teri Yaad bhi, Dil se khafa guzarti hai
Wo Ab miley be to milta hai es trah Jaisey
Bujhay Charraagh ko choo ker Hawa guzarti hai
Faqeer kab ke gaye Jangalon ki simt magar
Gali se Aaj bhi Un ki sada guzarti hai
Ye Ehl-e-Hijer ki Basti hai Ehtiyyat se chal
Museebaton ki yahan inteha guzarti hai...!!!
Warm & Regards
iqbal sheikh
Don't Blame People
For Disappointing You
Blame Yourself For
Expecting Too Much From Them..!!
Post a Comment