Pakistan ke pehle wazir-e-azam Liaquat Ali Khan 1896 mein U.P mein paida howe is liye Liaquat Ali Khan ne apna bachpan U.P mein guzara. Ibtidai taleem ghar mein hasil ki. 1918 mein aap ne M.A.O College Ali Garh se B.A kiya. Yehi college baad mein university bana. Aap ke bazurgon ka khayal tha ke Indian Civil Service mein shamil ho jayain magar Liaquat Ali ko ye baat pasand na ayi chunachay apne bazurgon ko qail kar ke aala taleem ke liye Englistan chale gaye. 1923 tak Englistan mein muqeem rahe aur qanoon ki degree hasil ki. Englistan mein qayaam ke doraan hi aap ne siasat mein hisa leyna shuru kiya. Englistan se wapsi ke baad aap ne U.P mein rehaesh ikhtiyar ki aur taleemi, muashrati aur islahi kamon mein dilchaspi lenay lage. 1926 mein aap ne U.P Assembly ke intikhab mein hisa liya aur assembly ke rukan muntakhib howe. 6 saal tak assembly ke naib sadar ki haisiyat se faraiz sar anjam dete rahe. Un dinon aap U.P mein Democratic Party ke rehnuma thay. Us waqt markazi assembly mein Qaid-e-Azam Muhammad Ali Jinnah Democratic Party ke leader thay usi doraan Quaid-e-Azam Muslim League ke sadar ban gaye aur un ki zair-e-qayadat Muslim League Hindustan mein Tareekhi kardar ada karne ke liye musalsal agey barhna shuru hoi. Liaquat Ali bhi Musalmanon ke huqooq ki jung mein hisa lenay ke liye Muslim League mein shamil ho gaye. Unhon ne jald hi apni salahiton se aik muqaam hasil kar liya.

Quaid-e-Azam ne aap ki salahiton ka aitraf is tarah kiya. "Liaquat Ali mera dayan bazu hain. Unhon ne faraiz ki anjam dahi mein din raat aik kar diye hain woh agarcheh Nawabzadah hain lekin aam insanon ki tarah kaam karte hain". 1940 main Liaquat Ali markazi assembly ke rukan muntakhib howe. Qayam e Pakistan  tak assembly ke member rahe. 1946 mein aarzi hukumat mein shamil howe tou Liaquat Ali ko aarzi hukumat mein wazarat-e-khazana ka qalamdan spurd kar diya gaya. Aap pehle Hindustani thay jinhon ne Angreezon ke door-e-hakumat mein Hinustan ka budget paish kiya. Taqseem Hind ke baad aap Pakistan ke pehle wazir e azam muqarar howe. Apni wazarat-e-uzma ke doraan aap ne aala qabliyat, sanjeedgi, matanat, taleemi salahiton ka sabot diya. Mahajreen ki abadkari aur dusre mumalik ke sath dostana taluqat mein aap ne mahirana siasi baseerat se kaam liya.

11 September 1948 ko Quaid-e-Azam ki wafat ke baad aap ne qaum ki behtareen rehnumai ki aur us naye mulk ki tameer mein har waqt masroof rahe. 1950 ke aghaz mein magribi Bangal aur mashiqi Bangal ke alaqon mein Hindu Muslim fasadaat ho gaye un fasadaat mein Musalmanon ko bohat nuqsan pohancha. Liaquat Ali Hindustan ke wazir-e-azam Pandit Nehru ki dawat par nayi dehli tashreef lay gaye aur 8 April 1950 ko dono mumalik mein aik muahdah howa jo Liaquat�Nehru Pact ke naam se mashoor howa. 16 october 1951 ko Rawalpindi mein aik jalsa aam se aap ne khatab karna tha abhi aap ne taqreer ka aghaz hi kiya tha ke aik shaqi al qalab ki goliyon se aap shaheed ho gaye. Aap ki maiyat ko Karachi la kar Quaid-e-Azam ke mazar ke pehlu mein dafan kiya gaya. Apni zindagi se hi Musalmanon mein Quaid-e-Millat ke laqab se mashoor howe. Shahadat ke baad shaheed-e-millat ke naam se pukare jane lagey.

Post a Comment

 
Top