Agar pukhraj ko dahektay koelon par rakha jaye tou ye bilkul nahin bighalta. Albata zayada darja hararat main ye bay rang ho jata hai aur is se bhi zayada hararat pohanchaye jaye tou us par aik bulbula namudar ho jata hai aur pukhraj toot jata hai. Tezaab se ye nagina neela ho jata hai.
Isay temperature diya jaye tou is main bijli ki quwat paida ho jati hai jo taqreeban 24 hours barqarar rehti hai.

Barqi Quwat:

Is main taqat inaqas do chand qaleel almaqdar  0.585 darja hai malnay aur garmi pohanchanay se taqat barqi paida hoti hai jo taqreeban 24 ghanta reh sakti hai.

Kemyawi Markabat - Chemical Properties:

Agar isay koyelay par rakh kar pankhani ke zariye aanch di jaye tou bhi phailta nahin. Sohaga ke sath agar isay garmi pohanchayi jaye tou berang sheesha ki tarah ho jata hai. Agar is par teez garmi di jaye tou bulbulay namudar hona shuru ho jatay hain jo foran toot jatay hain. Peelay pukhraj garmi se bayrang ho jatay hain. Zard gulabi ya gomedakjesay surkh ho jatay hain.

Sehri Khawas: Ye atard ka pathar hai. In logon ko un kamon main kamyabi deta hai jo safar karne wale hon ya safar ya mulazmat ki koshish main kamyabi ke khawahan hon. Baloghat ke zamana mein is ka istimal karain tou badni quwat deta hai. Woh log jin ka mazaj badi ho ya jin ko mushtari naqas ho is ka pehenna fayeda deta hai.

Post a Comment

 
Top