Satah samandar se 706 foot bulandi par waqaya Lahore ke bare main Kanhaiyalal Hindi ne kaha tha ke Lahore 2000 saal se Punjab ka capital hai. 372 main Arabic mein likhi gayi kitab "hudood al ilm" jis ki english translation 1937 main London se shaya hoi us mein likha gaya hai ke Lahore shehar ke bohat se izla hain. "Lahore ke bare ba ronaq hain. Chilghozay, Badam aur Narial kasrat se paye jate hain."
Lahore ki bunyad Ram Chandar ke baitay Laho ne rakhi thi. Jub Lahore barbad howa tou Punjab pa capital Sialkot ko bana diya gaya. 405 mein Sultan Mahmud Ghaznavi ne Anand Paul ko shikast de kar Lahore par qabza kar liya. Lahore par Ghauri khandan 582 hijri tak hukamran rahe. Yahan Shahabuddin Ghori khandan ke 12 afrad ne hakumat ki jin mein
Qutb-ud-din Aibak,
Aram Shah,
Shamsuddin
Rukn ud din
Feroz Shah
Razia Sultan
Behram Shah, wagera shamil thay. Ye khandan 689 hijri tak hukamrani karta raha is ke baad 721 hijri tak khaleeji khandan ke 4 hukamran is alaqay par hukamrani karte rahe.
Minar-e-Pakistan ka dil faraib nazara
Badshahi Masjid
Lahore ki shohrat puri dunya mein us waqt hoi jub yahan Mughliya door ka aghaz howa. 1826 mein Mughal badshah Babar is alaqay par qabiz howa. Punjab main mughliya door-e-hakumat mein jis shehar ko sub se zayada ahmiyat di gayi aur jisay sub se zayada faida pohanchaya gaya woh Lahore hi tha.
Lahore har lihaz se aik tehzeebi aur saqafati shehar hai. Is ki tehzeeb aur saqafat hazaron saal purani hai aur jis tarah kisi bhi tehzeeb aur saqafati shehar ke mashoor hone ke bay shumar hawalay hote hain isi tarah Lahore ki shoshrat ke hawalay bhi beshumar hain. In hawalon main aik hawala fun pehalwani aur umda khanay hain. Fun pahelwani ka ye amal hai ke salha saal se is alaqay ke log dunya bhar mein pahalwani ke liye mashoor hain.
Old Lahore Picture
Lahore umda khanon ki wajah se saray alam main jana jata hai yahan international level ke hotels hain magar aik bari waziha daleel yahan par mojood shahi qila food street aur purani anar kali food street hai jahan par sham ke waqt lahore ke logon ke sath sath kafi tadad main beroni tourists bhi mojood hotay hain.
Yahan ke mashoor khanon mein Siri Paye, Tika Karahi, Murgh Boti, Biryani, Seekh Kabab, Qorma, Naan Chaney, Puri Halwa, Haleem, Chargha, Tali Hoi Machli wagera shamil hain.
Jis tarah dusre shehron mein rehnay wale Pakistani tehwar manatay hain isi tarah Lahore mein rehne wale bhi mukhtalif mowaqon par mukhtalif tehwar manatay hain. Farq itna hai ke dunya ke dusre shehron ke muqable mein Lahore mein dusre alaqon ke log zayada abad hain jis ki wajah se ye baat mashoor hai ke yahan haftay main 7 din aur 8 tehwar manaye jatay hain. Lahore ke festivals main se khuch famous lahore festivals ye hain.
1: Eid ul Fitr
2: Eid ul Adha
3: Eid Milad Un Nabi (S.A.W)
4: Basant (Jashn-e-Baharaan)
5: Iqbal Day
6: Shab-e-Barat
7: Lailatul Qadr
8: Shab-e-Miraj
9: Youm-e-Azadi
10: Youm-e-Takbir
11: Youm-e-Difa
12: Mela Chiraghan
Ye melay government ki sarparasti mein hote hain. Khaas toor par Basant ka mela tou Lahore mein bohat purana tehwar hai. Is tehwar ka intzar sara saal kiya jata hai aur is tehwar ke liye taqreeban dunya ke tamam mumalik se log Lahore ka rukh karte thay magar ab is tehwar par jan lewa ho janay ki wajah se pabandi laga di gayi. Ye kite flying festival taqreeban 24 ghantay jari rehta tha. Isi doraan fiza basanti geeton, muskurahaton aur bo kata ki awazon se goonjti rehti thi. Har taraf khushi nazar ati thi. Is tehwar par tarah tarah ke khanon ka intzam kiya jata tha. Chaton par larkay aur larkiyan basanti libas pehnay patang bazi karte aur bhangre dalte howe nazar atay thay. Asman tarah tarah ki rang barangi patangon se dhaka hota tha. Paich laranay ke muqablay hote thay magar mazay ki baat ye hai ke un muqablon mein jeetne wala jis qadar khush hota tha, haarne wala bhi usi qadar khush nazar ata tha. Ye basant tehwar puri mein se bohat saray logon ko Lahore ko anay par majbor kar deta tha.
Beautiful Spring Flowers In Lahore Garden
Lahore Pakistan ka dusra bara shehar hai jo ke punjab ka darul hukumat hai. Ye aik tareekhi shehar hai jo ke 1000 bars se alaqay ka saqafti, siyasi aur muashi markaz hai. Lahore ko kayi tareekhi amaraton, masjidon, maqbaron aur baghat ki wajah se bhi almi shohrat hasil hai. In mein Jahangir ka maqbara, Shahi Qila, Shalamar Bagh, Badshahi masjid numayan hein. Isshehar mein kayi bazurgon ke mazaraat waqaya hain jin mein Hazrat Data Ganj Bakhsh Ali Hajweri (r.a), Hazrat Mian Mir (r.a), Hazrat Sarkar Madhoo Lal Hussain (r.a), Hazrat Shah Abul Muali (r.a), Hazrat Syed Miran Mauj Darya Bukhari (r.a) shamil hain.
View Of Lahore Canal Mughalpura
Shair-e-mashriq Allama Iqbal ka mazar bhi Badshahi Masjid ke samne waqaya hai. Lahore city darya-e-ravi ke mashriqi kinare par abad hai. Lahore ka mojoda shehar kayi jadeed bastiyon aur amaraton se arasta ho chuka hai. In main Johar Town Lahore, Bahria Town, Model Town, Gulberg, Defence, Green Town, Sabzazar, numayan hain. Lahore shehar ki famous places main Allama Iqbal International Air Port, Ajaib Ghar, Punjab University, Bagh-e-Jinah, Shalamar Bagh, Minar-e-Pakistan, Maal Road, Anar Kali, Fortress Stadium, Liberty wagera shamil hain. Is shehar ki jadeediat main izafa Lahore Metro Bus System ne kiya hai jisay haal hi mein Turkey ke tawan se tameer kiya gaya hai.
Historical Lahore City
Lahore mein bijli 1929 ya 1939 main ayi thi us zamane mein Ravi darya aur pankhay ki hawa par ahl-e-lahore garmiyan guzar dete thay. Darya-e-Ravi ki wajah se Lahore ki ratain thandi hoti thien. Lahore shehar mein tange chala kartay thay, bhainson ko bhi shehar main ghomnay phirne ki azadi thi is wajah se lahore ki kafi sarkain saaf nahin rehti thien lekin maal road har rooz dopehar ke waqt dhoyi jati thi. Dopehar ke waqt yahan jub bagh-e-jinah nisbatan khali hota hai tab darakhton ki bhari tehniyon par khubsurat parinday baithay dikhayi detay hain.
Shab-e-Miraj par sajayi hoi lahore ki aik masjid ka khubsurat manzar
Maal road par lage howe darakht bahar ki amad ka pata detay howe
Lahore shehar main Qiyam-e-Pakistan se pehle ki aik bus service chali thi Omni Bus purishehar us par safar kiya karta tha. Paidal chalne ki adat aam thi. Cycle bhi har aik ke paas nahin hoti thi. Mujhe aik bazurg ke bataya ke woh Data Darbar se Baghban Pura paidal jaya karte thay. Cycle ke ilawa tanga sawari thi. Lahore shehar ishq aur ashqi ki kayi dastanon ka shehar bhi hai.
Race Cource Park - Jilani Park Lahore
Lahore Railwat Station
Yahan angrezon ke daur ka aik purana rail ka nazaam bhi hai aur usi zamane ki bani hoi railway station ki building bhi hai jo aaj bhi apni tameer ke hawale se aik alag muqam rakhti hai aur main aaj usi railway station ki imarat mein baitha rail gari ka intzar kartay howe yehi soch raha hon ke is shehar main qiyam-e-Pakistan ke baad se ab tak kitna khuch badal gaya hai magar yahan ki trainon ka waqt par na ana aaj bhi nahin badla.