Zila Poonch ke district headquarter se 17km ke faslay par khubsurat tourist point "Banjosa" satah samandar se 1981km bulandi par waqaya hai. Banjusa main aik masnui jheel banayi gayi hai jis ke ird gird ke sada bahar junglat ki wajah se ye muqam sayahat ke liye aik shandar jagah hai. Banjosa ke gird-o-nawah main Jandali 2km Hasan Kot 4 km Devi Gali 12 km ke distance par waqaya hai ye muqamaat bhi tourists ki dilchaspi ka baes hain. Banjosa jheel ki sair ke liye boats chalti hain.
Banjosa Lake
Banjosa Jheel
Banjosa Lake Hotels: Summer season main is area ka weather intihai khushgawar hota hai. Banjosa Lake ke kinare tourism ke mehkama ne 6 rooms ka tourist lodge tameer kar rakha hai is ke elawa mehkama tameerat aur dusre mehkamon ki rehayesh gahain bhi mojood hain jin ki booking Rawalakot ke main mutalaka mehkamon ke difatar se karwai ja sakti hai. Banjosa se taqreeban 3 km ke distance par Koiyan main khane peene ki munasib ashya dastyab nahin is liye Khai Gala aur Rawalakot ke bazaron se zaroori ashya sath rakh leni behtar hain.
Distance:
Rawalakot to Banjosa Lake distance 17 km
Azad Patan to Banjosa distance 53 km
Dono rest houses main hasb-e-zaroorat khana tayar karwaya ja sakta hai. Khai Gala se 30 km sarak Kahori jati hai jahan mehkama sayahat ka chota sa rest house mojood hai yahan se taqreeban 2 km ke fasle par Toli Peer Top waqaya hai. Ye jagah camping, hiking, aur trekking ke elawa march ke month main snow sports ke liye bhi mozon hai. Yahan par agar aap jana chahain tou aap ko Rawalakot ki taraf se ana paray ga is jheel ko charon taraf se pine ke darakhton ne ghair rakha hai aur khubsurati main izara yahan ke sar sabz paharon ne kar diya hai.
Post a Comment