Learn Driving Step by Step
1: Sub se pehle darj zail tasweeron ka mutaliya karain aur in sub ko apne zehan main mehfooz kar lain kyoun keh ye sari cheezain aap ko aik car main nazar ayain gi jub aap ye kar chukay tou ab dusre step ki taraf ajayain.
2: Is baat ka itminaan karain keh car hand brake jo keh gear ke paas hi mojod hota hai nichli position main na ho matlab agar woh neechay hai tou uska matlab hai jesay hi hum car ko start karain gey tou car automatically agey peechay ho sakti hai. Jesa keh tasweer main ye nichli position main hai. Aur aik khaas baat ye keh jub bhi aap car start kiya karain matlab rook dain aur phir car chalani na ho tou usi waqt hand brake ko uper ki taraf khainch lain. Is se ye fayeda ho ga keh agar kisi na'hamwaar jagah par na ho tou car agey peechay nahin ho gi lekin agar hum hand brake ko neechay hi rakhain gey tou yaqeenan car agey peechay automatically ho sakti hai lihaza aap is baat ka itminaan karain. 3: Car start karnay ke liye is main mojod chabi (key) ghumayain aur 1 se 2 second aik hi position main rakhain his se car start ho jaye gi. Tasweer se madad li ja sakti hai.
4: Aur jub car start karain tou gear ko neutral main rakhain neutral main lay janay ke liye gear ko agey peechay karain aur phir center main la kar choor dain ye yaqeen karnay ke liye keh aya neutral bhi howa hai ke nahin agar gear lose nahin hai matlab aik jagah atka howa hai tou iska matlab hai woh neutral main nahin hai aur agar woh lose hai aur bohat easily se agey peechay ho sakta hai tou ye neutral ki elamat hai.
5: Cluch ko full dabayain matlab itna daba hona chahiye keh agar hum dabayain tou dabay nahin aur ab gari ko 1st gear main dalain iske liye tasweer ki madad li ja sakti hai.
5: Ab cluch ko slowly chorain aur race ahishta ahishta dabayain is se car ahishta chalnay lagey gi jub car puri tarah chalne lagey tou cluch ko choor dain lekin yaad rahay race par se bhi pain hata dain/ Ab agar hum car ki speed ko barhana chahtay hain tou dobara cluch full dabayain aur 2nd gear main lay jayain jesa keh tasweer main namayan kiya gaya hai.
6: Isi tarah 3rd gear main lay janay ke liye gear ko thora sa uper karain aur phir thoora sa hi seedhay hath ki taraf karain aur ab seedha auper lay jayain. Lekin yaad rahay jub bhi gear badalna maqsood ho cluch ko full dabayain aur phir gear badlain agar cluch ko na dabaya gaya tou nuqsan ka andesha hai yani car ki cluch plates jal sakti hain.
Post a Comment